Friday, June 5, 2009

faraz ki shayyiri

jo bhi dukh yaad na tha yaad aaya
aaj kya jaaniye kya yaad aaya
phir koi haath hai dil par jaise
phir tera ahd-e-waffa yaad aaya
jis tarah dhund mein lipte huye phool
ek ek naqsh tera yaad aaya
aisi majbuuri ke aalm mein koi
yaad aaya bhi toh kya yaad aaya
ae rafiq sar-e-manzil jaakar
kya koi aablaapa[paer ke chhale] yaad aaya
yaad aaya tha bichadna tera
phir nahin yaad ke kya yaad aaya
jab koi zakhm bana daag bana
jab koi bhool gaya yaad aaya
ye muhbbat bhi hai kya rog 'faraz'
jisko bhuule vo sada yaad aaya

No comments:

Post a Comment

wel come