kuch bhi ayaan-nihan[samne & gupt] na tha, koi zama'n-makaan na tha
der thi ik nigah ki phir ye jahan jahan na tha
saaz vo katre-katre mein soz vo zarre-zarre mein
yaad teri kise na thi dard tera kahan na tha
ishq ki azmishen aur fizaon mein hui
paanv tale zamin na thi sar pe ye aasman na tha
soz-e-nihan mein vo qaraar kalbe-tapa'n mein vo safa[pavitar]
shola toh tha tadap na thi aag toh thi dhuan na tha
ishq harime-husan mein apne sahare reh gaya
sabar ka bhi pata na tha hosh ka bhi nishan na tha
kiske hawaas se baza kaun tha apne hosh mein
waqte-bayane-gham koi mayal-e-dastan na tha
dekh faza-e-dehar ko kaif-e-adam se bhar diya
ae dil-e-dard-ashna mit ke bhi main kahan na tha
jalwa-e-taabazma kayale-ishq ho gaya
thi na sada-e-alhazar[dar ki pukar] nara-e-alaman na tha
ek ko ek ki khabar manzil-e-ishq mein na thi
koi bhi ahle-karwan shamile-karwan na tha
gaflate-husn jaag uthi aur zabane-ishq par
aah na thi fugan na tha naara-e-alamat na tha
khilvat'yane-raaz se haale-wisale-yaar pooch
husn bhi benaqab tha ishq bhi darmiyan na tha
ab na vo pursishe-karam ab na vo chasme-ashna
shikwa-e-ishq bartaraf tumse toh ye guman na tha
shikwa-e-darguzarnuma kyun hai ki husn-ishq se
itna toh badguman na tha itna toh sargaraan na tha
turi khushi ki yaad rakh teri kushi ki bhool ja
tujhse zara bhi badguman aalme-raftgaan na tha
sabar-o-sakun ke raaz kuch baaton mein khul gaye magar
ishq ko bhi khushi na thi husn bhi shadma na tha
phir bhi sukane-ishq par aankh bhar aayi barha
go ghame-hizar bhi 'firaq' kuch ghame-javindan na tha
No comments:
Post a Comment