hizabon mein bhi tu numaayan numaayan
farozaan farozaan darakhshaan darakhshaan
tere zulf-o-rukh ka badal bdhondhta hun
shabistaan shabistaan charaghan gharaghan
khat-o-khaal ki tere [archaiyan hain
khayabaan khayabaan gulistan gulistan
junoon-e-muhbbat unn ankhon ki wehshat
bayaanban bayaanban ghazalaan ghazalaan
lapat mushk-e-gesu ki taataar taataar
damak la'l-e-lab ki badakshaan badakshaan
vahi ek tabssum chaman dar chaman hai
saraasar hai tasveer jameeton ki
muhbbat ki duniya harasaan harasaan
yahi jazb-e-pinhaan ki hai daad kaafi
chale aao mujh tak gurezaan gurezaan
'firaq' khazeen se tau waaqif thay tum bhi
vo khuch khoya khoya pareshan pareshan
No comments:
Post a Comment