Monday, June 1, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

main hosh-e-anadil[bulbul ki nature] hun mushkil hai sambhal jana
ae baad-e-saba meri karwat toh badal jana
takdeer-e-muhbbat hun mushkil hai badal jana
sau baar sambhal kar bhi mallom sambhal jana
uss ankh ki masti hun ae badakasho[sharbi] jiska
uth kar sar-e-mai-khana mumkin hai badal jana
ayyam-e-baharan mein diwanon ke tevar bhi
jis samt nazar uthi aalam ka badal jana
ghanghor ghataon mein sarshaar fizaon mein
makhmoor hawaon mein mushkil hai sambhal jana
hun laghzeshe mastana[ladkhadana] maikhana-e-alam mein
bark-e-nigah-e-saqi kuch bach ke nikal jana
iss gulshan-e-hasti mein kam khilte hain gul aise
duniya mehak uthegi tum dil ko masal jana
main saaj-e-haqiqat hun soya hua nagma tha
tha raaz-e-niha.n koi pardon se nikal jana
hun nakht-e-mastana gulzar-e-muhbbat mein
madhosh-e-alam hai pehlu ka badal jana
masti mein lagawat se uss ankh ka ye kehna
mai_khwar ki niyat hun mumkin hai badal jana
jo tarz-e-ghazal_goi momin ne tarah ki thi
sad-haif 'firaq' usska sad-haif badal jana

No comments:

Post a Comment

wel come