Monday, June 1, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

daur-e-aflaq ka shabaab hai tu
aftabon ka aftab hai tu
roop aisa hasin jaise gunah
khalk ka hasil-e-sawaab hai tu
tujhse joban ujali raaton ka
mahtaabon ka mahtaab hai tu
aur zere-shafak chiraga'n ho
aaj yun mayile-hijaab hai tu
ye sitare tere pasine ke
shab ka dehaka hua shabab hai tu
tu jo surat pakad le hai vo khayal
yak-b-yak jaag uthe vo khwab hai tu
jo baharon ke dil se uthte hain
unnhin sholon ka pecho-taab hai tu
aankh padti hai ek zamane ki
bazm-e-imkaan mein intekhab hai tu
jaise naghme-lab-e-'firaq' pa' soye'ya
sez par yun yun hi mehv-khwab hai tu

No comments:

Post a Comment

wel come