Monday, June 1, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

kabhi jab teri yaad aa jaye hai
dilon par ghata ban ke cha jaaye hai
shab-e-yaas mein kaun chhup kar nadeem[dost] mere haal par muskura jaaye hai
muhbbat mein ae maut-e-jidngi mara jaaye hai ya jiya jaaye hai
palak par pase-tarke-gham[dukh ke ansu] ghah-ghah sitara koi jhilmila jaaye hai
teri yaad shabah-e-be_khwab mein sitaron ki duniya basa jaye hai
jo be_khwab rakhe hai ta_zindgi vahi gham kisi din sula jaaye hai
na sun mujhse humdam mera haal-e-zaar dile-naatva'n sansana jaaye hai
ghazal meri khenche hai gham ki shrab piye hai vo jis se piya jaaye hai
meri shayri jo hai jaane-nashaat ghamon ke khazane luta jaaye hai
mujhe chod kar jaaye hai teri yaad ki jeene ka ek aasra jaaye hai
mujhe gumrahi ka nahi koi khauff tere ghar ko har raasta jaaye hai
sunayen tumhen dastan-e-'firaq'
magar kab kisi se suni jaaye hai

No comments:

Post a Comment

wel come