Thursday, June 4, 2009

insha allah khan ki shayyiri

kamar baandhe huye chalne pe yaan sab yaar baithe hain
bohat aage gaye, baaqi jo hain tayyar baithe hain
na chhed, ae nik'hat-e-baad-e-bahari ! raah lag apni
tujhe athkheliyaan sujhi hain, hum be-zaar baithe hain
akhayal unnka pade hai 'arsh-e-aazam se kahin saaqi !
gharaz kuch dhun mein iss ghadi mai-khwaar baithe hain
kahe hain sabr kis ko ? aah ! nang[disgrance]-o-naam[respect] hai kya shai
gharaz roa peet kar inn sabko, hum yak baar baithe hain
kahin bose ki mat jurrat dila baithiyo unnse
abhi iss hadh ko vo kaafi nahin hoshiyaar baithe hain
najeebon ka azab kuch haal hai iss daur mein, yaaro !
jise puchho, yahi kehte hain, hum bekaar baithe hain
nayi yeh vaza[style] sharmaane ki seekhi aaj hai tumne
hamare paas, saahab ! varna, yun sau baar baithe hain
kahan gardish falak ki chaiin deti hai, sunaa 'insha'
ghaneemat hai ki hum-surat yahan do chaar baithe hain

No comments:

Post a Comment

wel come