hamare shonq ki ye inteha thi
kadam rakha ke manzil raasta thi
bichad ke daar se van-van(jungle) phiraa vo
hiraan ko apni kasturi qaza thi
kabhi jo khawab tha ! vo paa liya hai
magar jo kho gayi vo cheez kya thi ??
main bachpan mein khilone todta tha
mere anjam ki vo ibtidaa(beginning) thi
muhabat marr gayi mujhko bhi gham hai
mere achche dino ki aashna(friend) thi
jise chuu loon main vo ho jaaye sona
tujhe dekha toh jaana bad-dua thi
mareez-e-khawab ko toh ab shafaa(aaram) hai
magar duniya badi kadwi dawa thi !!!
No comments:
Post a Comment