Thursday, June 4, 2009

khumar barabanqwi ki shayyiri

ham unnhen vo hamen bhula baithe
do gunah-gaar zehar kha baithe
haal-e-gham keh ke gham badha baithe
teer maare thay teer kha baithe
aandhion jaao ab karo aaram
hum Khud apna diya bujha baithe
jee toh halka hua magar yaaron
roa ke lutf-e-gham ganwa baithe
be-sahaaron ka hausla hi kya
ghar mein ghabraaye, dar pe aa baithe
uth ke ek bewffa ne de di jaan
reh gaye saare baa-vaffa baithe
jab se bicchde vo, muskuraaye na hum
sab ne chheda toh lab hila baithe
hashr ka din abhii hai duur 'khumar'
aap kyun zahidon mein ja baithe

No comments:

Post a Comment

wel come