muhbbaton se apni mujhe maat de gaya
vo jaate jaate aise ilzamaat de gaya
aaine main khudko ko kabhi dekh na paayi
mere khilaaf mujhko hi jazbaat de gaya
mud ke jawab dene se pathar ki banungi
duniya ko puchne ko vo sawalaat de gaya
nafrat kahoon innko ya ulfat kahun inhen
har pal badlte aise khiyalaat de gaya
ankhon se meri pyar tha ussko iss kadar
so ansu meri ankhon ko soghaat de gaya
ban ke savera chayi jivan mein jis ke tu
katne ko lambi siaah raat de gaya
siski ban ke jo tere dil mein reh gayi
dam todti labon ko aisi baat de gaya
'saabi' tu ban pujaran jise pujti rahi
pujne ko apni tujhe zaat de gaya
No comments:
Post a Comment