Thursday, June 4, 2009

momin ki shayyiri

jalta hun hijr-e-shahid-o-yaad-e-sharab mein
shauq-e-savaab ne mujhe dala azaab mein
kehte hain tumko hosh nahi iztaraab mein
saare gile tamaam huye ek javaab mein
pehli shamiim-e-yaar mere ashk-e-surKh se
dil ko gazab fishaar hua pech-o-taab mein
rehte hain jama kuuchaa-e-jaanaan mein khas-o-aam
aabad ek ghar hai jahan-e-kharab mein
badanam mere giriya-e-rusava se ho chuke
ab uzr kya raha nigah-e-behijab mein
matlab ki justaju ne ye kya haal kar diya
hasrat bhi nahi dil-e-nakamayab mein
nakamiyon se kaam raha umr bhar hamen
pirii me yaas hai jo havas thi shabab mein
kya jalwe yaad aaye ke apani Khabar nahi
be-baada mast hu main shab-e-mahtab mein
paiham sajuud pa-e-sanam par dam-e-vida
'momin' khudaa ko bhuul gaye iztarab mein

No comments:

Post a Comment

wel come