koi hum-nafas nahin hai koi raazdaan nahin hai
faqat ek dil tha apna, so vo mehrbaan nahin hai
kisi aur gham mein itni khalish-e-nihaan[secret pain] nahin hai
gham-e-dil mera rafiqo, gham-e-raayegaan[useless suffering] nahin hai
meri ruuh ki haqiiqat mere aansuon se puchho
mera majlisi[public] tabassum, mera tarjuman[manifestation] nahin hai
kisi aankh ko sada do, kisi zulf ko pukaaro
badi dhuup pad rahi hai, koi saayebaan nahin hai
innhi patharon pe chal kar agar aa sako toh aao
mere ghar ke raaste mein koi kehkashan[galaxy] nahin hai
No comments:
Post a Comment