har ik sitam pe faqat maa'il-e-dua hona
likha gaya hai ab is shehr ka fana hona
khade hain ab toh wajood-o-adam ki sarhad par
bas ik laghzish-e-paa par hai faisla hona
jo admi bhi mukammal na ban sake thay abhi
unhen bhi ab toh mayyasar hua khuda hona
tamam shehr ki ankhen hain intzar-zada
innhi dinon mein hai phir koi haadsa hona
kisi mundeir pe nazren, na chilmanon pe nigah
ke dil hi bhool gaya ab toh mubtala hona
kabhi anaa ki fasiilen, kabhi zameer ka touq
ye umar-e-qaid hai iss se kahan riha hona
hazar saans ki dauri ulajh hi jaaye 'jaan'
kabhi na apni tamanna ki inteha hona
No comments:
Post a Comment