saaqi ki har nigaah pe bal kha ke pii gaya
laharon se khelata hua lahra ke pii gaya
ae rahmat-e-tamaam meri har khata muaaf
main inteha-e-shauq mein ghabra ke pii gaya
peeta beghair izn ye kab thi meri majaal
dar-parda chashm-e-yaar kii shai pa ke pii gaya
zaahid ye meri shokhi-e-rindana dekhna
rahmat ko baaton baaton mein behla ke pii gaya
oodi oodi ghataein aati hain, mutribon ki nawaein aati hain
kis ke gesu khule hain saawan mein, mehki mehki hawaein aati hain
kis ke gesu khule hain saawan mein, mehki mehki hawaein aati hain
aao sehn-e-chaman mein raqs karein, saaz lekar ghatein aati hain
dekh kar unnki ankhadion ko adam, maikadon ko hawaein aati hain
paas rehta hai duur rehta hai, koi dil mein zaroor rehta hai
jab se dekha hai unnki aaknhon ko, halka halka suroor rehta hai
aise rehte hain wo mere dil mein, jaise zulmat mein noor rehta hai
ab adam ka wo haal hai har qadam, mast rehta hai chuur rehta hai
ye jo halka halka suroor hai, sab teri nazar ka qusoor hai
ke sharaab peena sikha diya....
tere pyar ne teri chah ne, teri behki behki nigah ne
mujhe ek sharaabi bana diya ....
sharaab kaisi khumar kaisa, ye sab tumhari nawazishein hain
pilai hai kis nazar se tune, ke mujhko apni khabar nahin hai
ye jo saqi har tarah ki tere maikhaane mein hai
wo bhi thodi si jo inn aankhon ke paimane mein hai
sab samajhta hun teri ish nazar ae saqi
kaam karti hai nazar naam hai paimane ka
tera pyaar hai bas meri zindagi ....
na namaz aati hai mujhko na wuzoo aata hai
sajda kar leta hun jab samne tu aata hai
main azal se banda-e-ishq hun
mujhe zuhd-o-kufr ka gham nahin
mere sar ko dar tera mil gaya
mujhe ab talash-e-haram nahin
meri bandgi hai wo bandgi
jo ba_qaid-e-dair-o-haram nahin
mera ik nazar tumhein dekhna
ba_khuda namaz se kam nahin
qaymat mein tera dagh-e-muhabbat lekar uthunga
teri tasveer uss dam bhi kaleje se lagi hogi
teri yaad hai meri bandgi
jo teri khushi wo meri khushi
ye mere junoon ka hai moajza
jahan apne sar ko jhuka diya
vahan maine Kaaba bana diya
mere baad kis ko sataaoge ??
dil jalon se dil lagi acchi nahin
rone walon se hassi acchi nahin
dillagi hi dillagi mein dil gaya
khuda ke liye apni nazron ko roko varna
mera dil gaya ....
meri tarah khuda kare tera bhi kisi per aaye dil
tu bhi kaleja thaam ke kehta phire ke haye dil
dillagi hi dillagi mein dil gaya
dil lagaane ka natija mil gaya
main toh rota hun ke mera dil gaya
tum kyun haste ho tumhen kya mil gaya ??
accha phir…..
mere baad kisko sataaoge ??
mujhe kis tarah se mitaaoge
kahan ja kar teer chalaoge
meri dosti ki balayein lo
mujhe hath utha kar duaayein do
tumhen ek qaatil bana diya
mujhe dekho khwaish-e-jaan-e-jaan
main wahi hun anwar-e-neem jaan
tumhen itna hosh tha jab kahan
na chalao iss tarah tum zubaan
karo mera shukriya meherbaan
tumhen baat karna sikha diya
ye jo halka halka suroor hai
ye teri nazar ka qusoor hai
ke sharaab peena sikha diya
No comments:
Post a Comment