mere liye teri nazron ki roshni hai buhat
ke dekh lun tujhe pal bhar,mujhe yahi hai buhat
ye aur baat ke chahat ke zakhm gehre hain
tujhe bhulaane ki koshish toh varna ki hai buhat
kuch iss khata ki saza bhi toh kam nahi milti
gharib-e-shehr ko ik jurm-eaagahi hai buhat
kahan se laaon vo chehra, vo guftugu, vo ada
hazar husn hai galyon mein,aadmi hai buhat
kabhi toh muhlat-e-nazara, nik'hat guzraan
labon pe aag sulagti hai, tishnagi hai buhat
kisi ne hass ke jo dekha toh ho gaye uss ka
ke is zamaane mein itni si baat bhi hai buhat
No comments:
Post a Comment