ye allagh baat hai saaqi ki mujhe hosh nahin
hosh itna hai ki main tujhse faramosh nahin
main teri mast nigahon ka bharm rakh lunga
hosh aaya bhi toh keh dunga mujhe hosh nahin
yaad itna hai ki pauhncha dar-e-maikhane tak
kya kahun aage ki aage ka mujhe hosh nahin
kabhi unn madbhari aankhon se piya tha ik jaam
aaj tak hosh nahin hosh nahin hosh nahin
No comments:
Post a Comment