apna hi ghar kis qadar …viran lagta hai
her shaks yahan har pal ..pareshan lagta hai
dukhon ke aajaane se nahi hoti ab hairat
khushyon ki aahat pe har koi hairan lagta hai
na pooch kya aalam-e-be-sar-o-saamani hai har taraf
makeen hi makaa’n mein thehra hua ..mehmaan lagta hai
na chidyon ki chahchahhat…na kalyon ki hai mehkaar
gulshan hai ke ujda hua …biyabaan lagta hai
jo dil mein bas rahe thay ..woh iqdaar kho gaye
aashna bhi rasm-e-aashnaai se anjaan lagta hai
khud-gharzi ka libadah hi har ek tan pe hai saja
aur insaanyat se na waaqif..insaan lagta hai
No comments:
Post a Comment