Saturday, June 6, 2009

unknown

dhoop ke sath gaya sath nibhane wala
ab kahan aayega vo laut ke aane wala
ret par chhod gaya naqash hazaron apne
kisi pagal ki tarah naqsh mitaane wala
sabz shaakhen kabhi aise toh nahin cheekhati hain
kaun aay ahai parindon ko daraane wala
aariz-e-shaam[evening's cheeks] ki surkhi ne kiya faash[expose] usse
parda-e-abr[curtain of clouds] mein tha aag lagane wala
safar-e-shab ka taqaza hai mere sath raho
dasht[wilderness] pur-haul[terrifying] hai tufaan hai aane wala
mujhko dar-parda sunata raha qissa apna
agale waqton ki hikayat[story] sunaane wala
shabnami ghaas ghane phool larzati kirane
kaun aaya hai khazanon ko lutane wala
ab toh araam kare sochti hain aankhen meri
raat ka aakhri tara bhi hai jaane wala

No comments:

Post a Comment

wel come