Monday, June 1, 2009

ghalib ki shayyiri

saadgi par usski marr jaane ki hasrat dil mein hai
bas nahin chalta ki phir khanjar kaf-e-qaatil mein hai
dekhna taqdeer ki lazzat ki jo ussne kaha
maine ye jana ki goya ye bhi mere dil mein hai
garche hai kis kis burai se vale bayan hamara
zikar mera mujhse behatar hai ki uss mehfil mein
hai bas hujuum-e-na_ummidi khaaq mein mil jayegi
ye jo ik lazzat hamari sai-e-behaasil mein hai
rah-e-rah kyun khenchiye vamaandagi ko ishq hai
uth nahin sakta hamara jo qadam manzil mein hai
jalwa zaar-e-aatash-e-dozakh hamara dil sahi
fitana-e-shor-e-qaymat kis ki aab-o-gil mein hai
hai dil-e-shorida-e-gaalib tilism-e-pech-o-taab
reham kar apni tamana par ki kis mushkil mein hai

No comments:

Post a Comment

wel come