Thursday, June 4, 2009

unknown

aadat hi bana li hai, iss shahr ke logon ne
andaz badal lena, awaaz badal lena
duniya ki muhbbat mein, twaar badal kena
mausham jo naya aaye .... raftaar badal lena
aghyaar wohi rakhna, ehbaab badal lena
adaat hi bana li hai, iss shahr ke logon ne
raste mein agar milna, nazron ko jhuka lena
awaaz agar de do, katra ke nikal jana
har ek se juda rehna, har ek se khaffa rehna
har ek ka gila karna ....
jaate huye rahi ko, manzil ka pata de kar
raste mein rula dena ....
aadat hi bana li hai, iss shahr ke logon ne .... !!!!!

No comments:

Post a Comment

wel come