hum jo din raat ye 'itr[perfume]-e-dil-o-jaan khiinchte hain
nafa kam karte hain ae yaar ziyaan[loss] khiinchte hain
sochne ke liye mauzuu[topic]-e-sukhan[poetry] koi nahin !
subh se shaam talak sirf dhuaan khiinchte hain
maine muddat se koi sach bhi nahin bola hai
phir mujhe daar[gallows] pe kyun ahl-e-jahaan[inhabitant of world] khiinchte hain
ab bhi rehte hain bohat aise bahaadur jo yahaan
doodh peete huye bachon pe kamaan khiinchte hain
vo musaahib[companion] jo zuban kholte darte thay kabhi
ab vahi mere buzurgon ki zuban khiinchte hain
mere qaatil mujhe pehchaan gaye hain shayad
varna kyun jism se yun nok-e-sanaan[sword's tip] khiinchte hain
No comments:
Post a Comment