jinki taamir ishq karta hai
kaun rehta hai unn makanon mein
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Wednesday, July 1, 2009
firaq gorkhpuri ki shayyiri
ye zaaho-izzat, ye naamo-shuhrat, hai chaanv bas ik chalti phirti
bohat na magroor ho jayiyega ‘firaq’ sahib, firaq sahib
bohat na magroor ho jayiyega ‘firaq’ sahib, firaq sahib
firaq gorkhpuri ki shayyiri
firaq gorkhpuri ki shayyiri
taazub kya, tere aage jo hum kuch chhup se rehte hain
hamare darmiyan ae dost ! laakho khwab haa’eel[rukavat] hain
hamare darmiyan ae dost ! laakho khwab haa’eel[rukavat] hain
firaq gorkhpuri ki shayyiri
jahan mein thi bas ik afvaah tere jalwon ki
charag-e-dair-haram jhilmilaye hain kya kya
charag-e-dair-haram jhilmilaye hain kya kya
firaq gorkhpuri ki shayyiri
ye zindgi ke kade kos yaad aata hai
teri nigahe-karam ka ghana ghana saaya
teri nigahe-karam ka ghana ghana saaya
firaq gorkhpuri ki shayyiri
shabe-hizr thi yun toh magar pichali raat ko
vo dard utha ‘firaq ki main muskura diya
vo dard utha ‘firaq ki main muskura diya
firaq gorkhpuri ki shayyiri
in fusoon-saman[jadu-bhari] nigahe-aasman ki der thi
iss bhari duniya mein hun tanha nazar aane lage
iss bhari duniya mein hun tanha nazar aane lage
firaq gorkhpuri ki shayyiri
khaak mein chott dabi thi ya na jaane kab ki !!
rag-e-paimana lahu dene lagi ae saaqi !!
rag-e-paimana lahu dene lagi ae saaqi !!
firaq gorkhpuri ki shayyiri
dil-dukhe roye hai shayad iss jagah ae kuye- dost[mitr ki gali] !!
khaak ka itna chamak jana zara dushvaar tha !!
khaak ka itna chamak jana zara dushvaar tha !!
firaq gorkhpuri ki shayyiri
garz ki kaat diye zindgi ke din ae dost !!
vo teri yaad mein hon ya tujhe bhulane mein !!
vo teri yaad mein hon ya tujhe bhulane mein !!
firaq gorkhpuri ki shayyiri
duniya ko badalne ki tasleem tera dawa
hum phir bhi ye kehte hain duniya vahi duniya hai
hum phir bhi ye kehte hain duniya vahi duniya hai
firaq gorkhpuri ki shayyiri
husn parasti paak muhbbat ban jaati hai jab koi
wasl ki jismani lazzat se ruhani kaifiyat le
wasl ki jismani lazzat se ruhani kaifiyat le
firaq gorkhpuri ki shayyiri
bezar’r[bina nuksan wali] hai ‘firaq ki gali
usski gaali, fakeer ki gaali
usski gaali, fakeer ki gaali
firaq gorkhpuri ki shayyiri
sham ke saaye ghule hon jis tarah aawaz mein
thankein jaisi khanakti hon gale ke saaz mein
thankein jaisi khanakti hon gale ke saaz mein
firaq gorkhpuri ki shayyiri
abhi fitrat se hona hai numaya’an shaan-e-insani
abhi har cheez mein mehsuus hoti hai kami apni

khurshidul hasan nayyar ki shayyiri
gham ghazal mein dhala nahin hota
dil agar phool sa nahin hota
hota hai sirf vo mere dil mein
jab koi dosra nahin hota
kaun padhta ibartein dil ki
chehra gar aaiina nahin hota
sirf illzam aur nafrat se
hal koi masala nahin hota
humse sab kuch bayaan hota hai
par bayaan mudaa nahin hota
hum na hote toh gesu-e-sumbul
itna sanwra-saja nahin hota
yaad rakhna ki bhool hi jaana
bas mein ba_khuda nahin hota
chahne se kisi ke humsafaro
kabhi achcha bura nahin hota
zakhm-e-dil cactus hai sehra ka
kab bhala ye hara nahin hota
hum junoon kesh se kabhi ‘nayyar’
ishq ka haq ada nahin hota
dil agar phool sa nahin hota
hota hai sirf vo mere dil mein
jab koi dosra nahin hota
kaun padhta ibartein dil ki
chehra gar aaiina nahin hota
sirf illzam aur nafrat se
hal koi masala nahin hota
humse sab kuch bayaan hota hai
par bayaan mudaa nahin hota
hum na hote toh gesu-e-sumbul
itna sanwra-saja nahin hota
yaad rakhna ki bhool hi jaana
bas mein ba_khuda nahin hota
chahne se kisi ke humsafaro
kabhi achcha bura nahin hota
zakhm-e-dil cactus hai sehra ka
kab bhala ye hara nahin hota
hum junoon kesh se kabhi ‘nayyar’
ishq ka haq ada nahin hota
akbar ki shayyiri
khayal dauda, nigah uthi, kalam ne likha, zuban boli
magar vahi dil ki uljhane hai kisi ne isski girah na kholi
lataafaton[softness] ke, nazakaton ke, azeeb majboon hai chaman mein
saba ne jhatka hai apna daaman, masq gayi hai kali ki choli
khayal shayar ka hai nirala, ye keh gaya ek kehne wala
shabab ke saath yun hai rindi ki jaise faagun ke saath holi
kaho ye rindan-e-duniya se ki bazm-e-ishrat ke thhat badlen
udan-khatolna hai ab mison ka gayi pari jaan ki vo doli

surender chaturvedi ki shayyiri
raat ko tanhaiyon ke saath ghar jaata hun main
apne hi ehsaas ki aahat se darr jaata hun main
ruuh mein tabdeel ho jaata hai mera ye badan
jab kisi ki yaad mein hadh se guzar jata hun main
main lahu se reit par likha hua ik naam hun
gar koi mehsuus kaar le toh ubhar jaata hun main
main siddat khushbuon ki pyar se mehaki hui
chhu le koi toh hawaon mein bhikar jaata hun main
ek sufi ki ghazal ka shair hun main dosto
bekhudi ke raste dil mein utar jaata hun main
bandh aankhon se kiya karta hun main lakhon safar
log aksar sochte hain ki kidhar jaata hun main
apne hisse ki jinhen main neend aaya saunp kar
gham hai aksar unnke khwabon mein bhi marr jaata hun main
dard ki dargah mein karta jiyaarat jab kabhi
karke ashqon se vaju khud mein bikhar jaata hun main

aasman mujhse mila toh vo zara sa ho gaya
tha samandar main magar barsa toh payasa ho gaya
zindgi ne bandh muthhi iss tarah se khol di
gham ki saari vardaaton ka khulasa ho gaya
neend mein tumne mujhe iss tarah aa kar chuu liya
ik purana khwab tha lekin naya sa ho gaya
jis ghaddi mehsoos tujhko dil mera karne laga
uss mein shamil mere jaise nasha sa ho gaya
ajnabi ehsaas mujhko dard ke dar par mila
saath jab roye toh vo mujhse shansa ho gaya
usske gham alfaaz ki ungli pakad kar jab chale
dard ka ghazlon mein meri tarzuuma sa ho gaya

mat chiragon ko hawa do bastiyan jal jayengi
ye hawan vo hai ki jis mein ungliyan jal jayengi
maanta hun aag pani mein laga sakte hain aap
par magarmachhon ke sang machhliyan jal jayengi
raat bhar soya nahin gulshan yahi bas soch kar
vo jala toh saath usske titliyan jal jayengi
janta hun baad marne ke mujhe phonkege log
main magar jinda rahunga lakdiyan jal jayengi
usske baste mein rakhi jab maine mazhab ki kitab
vo ye bola abba meri kaapiyan jal jayengi
aag baabar ki lagao ya lagao ram ki
lag gayi toh aayetein chopaiyan jal jayengi

ye nahin ki naav ki hi zindgi khatre mein hai
daur hai aisa ki ab poori nadi khatre mein hai
bach gaye manzar suhane farq kya pad jayega
jabki yaaron aankh ki hi roshni khatre mein hai
ab toh samjho korwaon ki chaal nadaan pandvo
hosh mein aao tumhari daropadi khatre mein hai
apne bachon ko dikhayoge kahan agli sadi
ji rahe ho jis mein tum vo hi sadi khatre mein hai
mandiron aur maszidon ko ghar ke bihtar lo bana
varna khatre mein azaanen, aarti khatre mein hai
na toh nanak, na hi isha, ram na rehman hi
pujta hai jo innhen vo aadmi khatre mein hai

Subscribe to:
Posts (Atom)