यें आईने से अकेले में गुफ्तगू कया है
जो मैं नहीं तो फिर यें तेरे रूबरू कया है
इसी उम्मीद पे काटी है जिंदगी मैंने
वोह काश पूछते मुझसे के आरजू कया है
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Saturday, January 17, 2009
ghalib ki shayyiri
खुदा के वास्ते पर्दा ना काबे से उठा ज़ालिम
कहीं ऐसा ना हो याँ भी वोही काफिर सनम निकल
कहीं ऐसा ना हो याँ भी वोही काफिर सनम निकल
ghalib ki shayyiri
khuda ke waaste parda na kaabe se utha zaalim
kahin aisa na ho yaan bhi wohi kaafir sanam nikle
kahin aisa na ho yaan bhi wohi kaafir sanam nikle
ghalib ki shayyiri
जो हाथ को जुम्बिश नहीं आँखों में तो दम है
रहने दो अभी सागर-ओ-मीना मेरे आगे
मत पूछ के कया हाल है मेरा तेरे पीछे
तू देख के कया रंग है तेरा मेरे आगे
रहने दो अभी सागर-ओ-मीना मेरे आगे
मत पूछ के कया हाल है मेरा तेरे पीछे
तू देख के कया रंग है तेरा मेरे आगे
ghalib ki shayyiri
jo haath ko zumbish nahin aankhon mein toh dam hai
rehne do abhi saagar-0-meena mere aagay
mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche
tu dekh ke kya rang hai tera mere aagay
rehne do abhi saagar-0-meena mere aagay
mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche
tu dekh ke kya rang hai tera mere aagay
चर्चा-ए-मुहबत सर-ए-आम हो ना जाये
तू मेरे नाम से बदनाम हो ना जाये
बुरा वक़त फिर जिंदगी में आया है
अपने और गैर की पहचान हो ना जाये
अजनबी बन कर तू इस कदर मिला मुझसे
गम आज मुझ पर मेहरबान हो ना जाये
महफिल से उठा मुझको मगर यें देख लेना
मेरे बाद तेरी महफिल वीरान हो ना जाये
इतना प्यार ना बरसा मुझ पर मेरे कातिल
मेरी जान लेने वाला मेरी जान हो ना जाये
तुझे मानाने की खातिर खुदको मिटा रहा हूँ
मेरी यह आखरी कोशिश भी नाकाम हो ना जाये
उसकी मासूम आँखें मुझको बुला रही हैं
आदी आज जानवर से इंसान हो ना जाये
तू मेरे नाम से बदनाम हो ना जाये
तू मेरे नाम से बदनाम हो ना जाये
बुरा वक़त फिर जिंदगी में आया है
अपने और गैर की पहचान हो ना जाये
अजनबी बन कर तू इस कदर मिला मुझसे
गम आज मुझ पर मेहरबान हो ना जाये
महफिल से उठा मुझको मगर यें देख लेना
मेरे बाद तेरी महफिल वीरान हो ना जाये
इतना प्यार ना बरसा मुझ पर मेरे कातिल
मेरी जान लेने वाला मेरी जान हो ना जाये
तुझे मानाने की खातिर खुदको मिटा रहा हूँ
मेरी यह आखरी कोशिश भी नाकाम हो ना जाये
उसकी मासूम आँखें मुझको बुला रही हैं
आदी आज जानवर से इंसान हो ना जाये
तू मेरे नाम से बदनाम हो ना जाये
charcha-e-muhabat sar-e-aa'm ho na jaaye
tu mere naam se badnaam ho na jaaye
bura waqt phir zindgi mein aaya hai
apne aur gaiir ki pehchan ho na jaaye
ajnabi bankar tu iss kadar mila mujhse
gam aaz mujh par mehrbaan ho na jaaye
mehfil se utha mujhko magar ye dekh lena
mere baad teri mehfil veeran ho na jaaye
itna pyar na barsa mujh par mere kaatil
meri jaan lene wala meri jaan ho na jaaye
tujhe manane ki khatir khudko mita raha hun
meri yeh aakhri koshish bhi naakam ho na jaaye
usski masoom aankhein mujhko bula rahi hain
aadi aaj jaanwar se insan ho na jaaye
tu mere naam se badnam ho na jaaye

qateel shifai ki shayyiri
har ek ke liye na khula rakh isse "qateel"
ye dil hai ek ghar isse bazaar mat bana
ye dil hai ek ghar isse bazaar mat bana
तेरे करीब आ के बड़ी उलझनों में हूँ
में दुश्मनों में हूँ के तेरे दोस्तों में हूँ..
बदला ना मेरे बाद भी मुज़ुं-ए-गुफ्तगू
में जा चुकी हूँ फिर भी तेरी महफिलों में हूँ..
मुझसे बिचड के तू भी तो रोयेगा उम्र भर
यें सोच ले के में भी तेरी ख्वाहिशो में हूँ..
तू हंस रहा है मुझ पे मेरा हाल देख कर
और फिर भी मैं शरीक तेरे कहकहों में हूँ..

tere kareeb aa ke badi uljhano mein hu
main dushmano mein hun ke tere dosto mein hu..
badla na mere baad bhi mouzu-e-guftagoo,
main jaa chukki hu phir bhi teri mehfilo mein hu..
mujhse bichad ke tu bhi toh royega umar bhar,
yeh soch le ke mein bhi teri khawaahisho mein hu..
tu hass raha hai mujh pe mera haal dekh kar,
aur phir bhi mein shareek tere kehqahon mein hu..

mohsin ki shayyiri
यें दिल यें पागल दिल मेरा क्यूँ बुझ गया आवारगी
इस दस्त में इक शहर था वो कया हुआ आवारगी ?
कल शब् मुझे बेशकल सी आवाज़ ने चौंका दिया
मैंने कहा तू कौन है उसने कहा आवारगी !
लोगो उस शहर में भला कैसे जियेंगे हम जहाँ
हो जुर्म तन्हा सोचना, लेकिन सज़ा आवारगी
एक तू के सदियों से मेरा हमराह भी हमराज़ भी
एक मैं के तेरे नाम से ना_आशना आवारगी
यह दर्द की तन्हाईयाँ, यें दस्त का वीरान सफ़र
हम लोग तो उकता गए अपनी सुना आवारगी
एक अजनबी झोंके ने जब पुछा मेरे गम का सबब
सहरा की भीगी रेत पर मैंने लिखा आवारगी
ले अब तो दस्त-ए-शब् की साड़ी वुसातें सोने लगी
अब जागना होगा हमें कब तक बता आवारगी
कल रात तन्हा चाँद को देखा था मैंने खाब में
"मोहसिन" मुझे रास आएगी शायद सदा आवारगी

ye dil ye paagal dil mera kyu bujh gaya awaargi
iss dasht mein ek shehr tha vo kya hua awaargi
kal shab mujhe be-shakl si awaaz ne chaunka diya
maine kaha tu kaun hai uss ne kaha awaargi
logo uss shahr mein bhala kaise jeyenge hum jahan
ho jurm tanha sochna, lekin saza aawargi
ek tu ke sadiyon se mere hum raah bhi hum raaz bhi
ek main ke tere naam se na_aashna awaargi
yeh dard ki tanhaiyaan yeh dasht ka viraan safar
hum log toh ukta gaye apni suna awaargi
ek ajnabi jhonke ne jab pocha mere gham ka sabab
sahara ki bheegi rait par maine likha awaargi
le ab toh dasht-e-shab ki saari vusaatein sone lage
ab jaagna hoga hamein kab tak bata awaargi
kal raat tanha chaand ko dekha tha maine khaab mein
'mohsin' mujhe raas aayegi shayad sadaa awaargi

faraz ki shayyiri
main kitni waraftigi se usse suna raha tha
woh saari baatein woh saare kissay
jo uss se milne se paishtar
meri zindgi ki shikayatein thi
main keh raha tha
jinhe meri aarzu thi meri talab thi
ke jinn ki mujh par inayatein thi
main keh raha tha
ke unn mein kuch ko toh maine
jaan se azeez jana
magar unn mein se baaz ko
meri be-dili se shikayeten thi
main ik ik baat
ek ek zurm ki kahani
dharakte dil kanpate badan se suna raha tha
magar woh pathar bani
mujhe aisi sunti rahi
ke jaise mere labon par
kisi muqaddas tareen saheefe ki aayatein thi

apne dil mein chupa lo to koi baat bane
mujhko tum apna bana lo to koi baat bane
rehta hoon har ghadi be_chaiin main tumhare liye
tham kar haath mera tum apna bana lo toh koi baat bane
mere dil ki hai dua tum ho jaao mere
tum bhi dua ke liye haath uthao to koi baat bane
iss dil mein basaya hai sirf tumhein humne
tum bhi apne dil mein basa lo humein toh koi baat bane

ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujhko
zakhm khulne se aziyat nahin hoti mujhko
ab koi aaye chala jaaye main khush rehta hun
ab kisi shaks ki aadat nahin hoti mujhko
aisa badla hun tere shehr ka paani pii kar
jhooth boloon toh nidaamat nahin hoti mujhko
maine bhi ki hai muhabat, so kisi ki khatir
koi marta hai toh hairat nahin hoti mujhko
itna mashroof hun jeen ki hawas mein yaaron
saans lene ki bhi fursat nahin hoti mujhko

tere baare mein jab socha nahi tha
main tanha tha magar itna nahi tha
teri tasveer se karta tha baatein
mere kamare mein aaiina nahi tha
samandar ne mujhe pyasa hi rakha
main jab sehra mein tha pyasa nahi tha
manane ruthne ke khel mein hum
bichad jayenge ye socha nahi tha
suna bandh kar li uss ne aankhein
kai raaton se vo soya nahii tha
main tanha tha magar itna nahi tha
teri tasveer se karta tha baatein
mere kamare mein aaiina nahi tha
samandar ne mujhe pyasa hi rakha
main jab sehra mein tha pyasa nahi tha
manane ruthne ke khel mein hum
bichad jayenge ye socha nahi tha
suna bandh kar li uss ne aankhein
kai raaton se vo soya nahii tha
mohsin ki shayyiri
kaash hum khul ke zindgi karte
umar guzri hai khud_kusi karte !!
bijiliyan iss taraf nahi aayen
varna hum ghar mein roshni karte
kaun dushman teri chahat ka tha ?
aur hum kis se dosti karte ?
bhujh gaye kitne chaand se chehre
dil ke sehra mein chandni karte
ishq ujrat talab na tha varna
hum tere dar pe naukari karte
iss tamana mein ho gaye ruswa
hum bhi jii bhar ke aashqi karte
husn usska na khul saka "mohsin"
thak gaye log shayyiri karte ....
umar guzri hai khud_kusi karte !!
bijiliyan iss taraf nahi aayen
varna hum ghar mein roshni karte
kaun dushman teri chahat ka tha ?
aur hum kis se dosti karte ?
bhujh gaye kitne chaand se chehre
dil ke sehra mein chandni karte
ishq ujrat talab na tha varna
hum tere dar pe naukari karte
iss tamana mein ho gaye ruswa
hum bhi jii bhar ke aashqi karte
husn usska na khul saka "mohsin"
thak gaye log shayyiri karte ....
gam unnko bhi naseeb hote hain
jo log khush naseeb hote hain
hota hai bas ek hi koi apna
varna saare raqeeb hote hain
daulat-e-khudai ki khuahish hai
log yahan kitne gareeb hote hain
zakhm humko jo ataa karte hain
woh hamare habib hote hain
humko dushman samajh rahe ahi jo
wohi raqeeb dil ke qareeb hote hain
jo log khush naseeb hote hain
hota hai bas ek hi koi apna
varna saare raqeeb hote hain
daulat-e-khudai ki khuahish hai
log yahan kitne gareeb hote hain
zakhm humko jo ataa karte hain
woh hamare habib hote hain
humko dushman samajh rahe ahi jo
wohi raqeeb dil ke qareeb hote hain
iss kadar musalsal thi shidaten judai ki
aaj pehli baar uss se maine bewaffai ki
varna ab tak yun tha khwahishon ki baarish mein
ya toh toot kar roya ya ghazal saraai ki
taj diya tha kal jinn ko humne teri chahat mein
aaj unnse mazboorian taza aashnai ki
ho chala tha jab bhi mujhko ikhtilaaf apne aap se
tune kis ghadi zalim meri hum_nawai ki
tark kar chuke kaasid koi na_ muraddoun ko
kaun ab khabar le shehr-e-ashnai ki
tanz-0-tana-o-tuhmat sab hunar hai naseh ke
aap se koi pooche humne kya burai ki

jo ranjish thi jo dil mein gubaar tha, na gaya
ke ab ki baar gale mil ke bhi gila, na gaya
ab usske wade-e-fardaan ko bhi taraste hain
kal usski baat pe kyun aitbaar kiya, na gaya
ab uss ke hizr mein royen na wasl mein khush hun
vo dost ho bhi toh samjho ke dostana gaya
nigaah-e-yaar ka kya hai huii huii na huii
ye dil ka dard hai pyare gaya gaya na gaya
sabhi ko jaan thi pyari sabhi thay lab basta
bas ek "faraz" tha, zaalim se chup raha na gaya

nazar se duur hota ja raha hai
ke woh majbuur hota ja raha hai
usse humse taghafal ka gila hai
jo khud maghruur hota ja raha hai
azal se ruuh toh apni ghayal hai
badan bhi chuur hota ja raha hai
mohabat zurm banti ja rahi hai
ajab dastuur hota ja raha hai
khuda jaane teri ankhon mein kya hai
ke dil majbuur hota ja raha hai
mohabat ka adhuura sa fasana
bohat mash'huur hota ja raha hai
ye dil gamon se chur hota ja raha hai
ke woh majbuur hota ja raha hai
usse humse taghafal ka gila hai
jo khud maghruur hota ja raha hai
azal se ruuh toh apni ghayal hai
badan bhi chuur hota ja raha hai
mohabat zurm banti ja rahi hai
ajab dastuur hota ja raha hai
khuda jaane teri ankhon mein kya hai
ke dil majbuur hota ja raha hai
mohabat ka adhuura sa fasana
bohat mash'huur hota ja raha hai
ye dil gamon se chur hota ja raha hai
Subscribe to:
Posts (Atom)