Wednesday, March 18, 2009

क्यूं हमसे खफा हो गए ऐ जान -ऐ-तमन्ना
भीगे हुए मौसम का मज़ा क्यूं नहीं लेते

ये रात ये बरसात ये सावन का महिना
ऐसे में तो शोलों को भी आता है पसीना
इस रुत में गरीबों कि दुआ क्यूं नहीं लेते
भीगे हुए मौसम का मज़ा क्यूं नहीं लेते

देखो तो ज़रा झाँक के बाहर कि फजा में
बरसात ने इक आग लगा दी है हवा में
इस आग को सीने में बसा क्यूं नहीं लेते
भीगे हुए मौसम का मज़ा क्यूं नहीं लेते

आया है किसे रास जुदाई का अए आलम
तड़पेंगे अकेले में उधर आप इधर हम
दिल दिल से मेरी जान मिला क्यूं नहीं लेते
भीगे हुए मौसम का मज़ा क्यूं नहीं लेते
मेरी अकल-ओ-होश की सब हालतें
तुमने साँचें में जूनून के ढाल दीं
कर लिया था मैंने अहद-इ-इश्क
तुमने फीर बाहें गले में दाल दीं

यूँ तो अपने कासिदान-इ-दिल के पास
जाने किस् किस के लिए पैगाम हैं
पर लिखे हैं मैंने जो औरों के नाम
मेरे वो ख़त भी तुम्हारे नाम हैं

है मुहबत, हयात की लज्ज़त
वर्ना कुछ लज्ज़त-ए-हय्यत नहीं
कया इजाज़त है, एक बात कहूं
वो,,,,,मगर,,,,खैर, कोई बात नहीं

शर्म ! दहशत ! झिझक ! परेशानी !
नाज़ से काम क्यूँ नहीं लेतीं !
आप! वो! जी! मगर!,,,,,,ये सब कया है
तुम मेरा नाम क्यूँ नहीं लेती !
meri aql-o-hosh ki sab haaltien
tumne saanche mein junoon ke dhaal di
kar lia tha maine ahd-e-tark-ishq
tumne phir baahien gale mein daal di

yun toh apne qaasidaan-e-dil ke paas
jaane kis kis ke liye paigaam hai
par likhe hai maine jo auron ke naam
mere vo khat bhi tumhare naam hai

hai muhabat, hayyat ki lazzat
varna kuch lazzat-e-hayaat nahi
kya izazat hai, ek baat kahoon
vo,,,,magar,,,,khaiir, koi baat nahi

sharm, dahshat, jhijhak, pareshaani,
naaz se kam kyun nahi leti !
aap! vo! jee! magar!,,,,,,ye sab kya hai
tum mera naam kyun nahi leti !

pichhle baras yeh darr tha, kahi tu judaa na ho
ab ke baras duaan hai tera saamna na ho
saamna na ho gujre jidhar se tu, woh mera raasta na
achha meri wafaaon ka tune sila diya yeh kya
kiya ke khaak mein mujhko mila diya
surmaa samajh ke gair ko aankhon mein di jagah
aansu samajh ke mujhko nazron se gira diya
mehboob yun kisika koi bewafaa na ho
tere sitam ki dastaan kisko sunaaun main
tune diye jo zakhm woh kisko dikhaaun main
ab aaise mod par hai meri zindagi jahaan
yeh bhi bahut hai agar tujhko bhul jaaun main
jo mujhse hui aaisi kisise khata na ho
tirath nahi hai jismein woh surat fizul hai
khushbu agar na ho toh woh kaagaz ka phool hai
yeh dil kabhi na dhadkega ab tere naam se
tera usool hai to mera bhi usool hai
iss zindagi mein tujhse kabhi vaasta na
दिल तेरे आने से पहले भी यूँ ही बर्बाद था
और यूँही बर्बाद है तेरे चले जाने के बाद
वो है चाहे दुश्मन मेरे सबर-ओ-करार का
न देखूं जब तलक उसको नहीं करार मुझे
ishq ek sach tha, tujh se jo bola nahi kabhi
ishq ab woh jhoot hai jo bahut bolta hun main

meer ki shayyiri

hasti apni habeeb[bubble] ki si hai
ye numaaish saraab ki si hai
naazuki uss ke lab ke kya kahiye
pankhadi ik gulaab ki si hai
baar baar uss ke dar pe jaata hun
haalat ab iztiraab[anxiety] si hai
main jo bola kaha ke ye awaaz
ussi khana-kharab ki si hai
"meer" unn neem baaz ankhon mein
sari masti shrab ki si hai
tu apni sheesha-gari ka na kar hunar zaya
main aaina hun, mujhe tootne ki aadat hai....!!!
jugnu ko kaid karke muskuraya na karo
roshni ki khatir kisi ka dil jalaya na karo
dil pe sitam itne na karo
yaad nahi karte to yaad aaya na karo
bujhi shamaa bhi jal sakti hai,
tufan se kashti bhi nikal sakti hai,
ho ke maayus yyn na apne irade badal,
teri qismat kabhi bhi badal sakti hai
tumhen maloom hai janaaa..
ke..
tum bhi ek qaatil ho ..
mere ander ka ek hansta hua insaan
tum Ne maar dala hai ..!!

adeem ki shayyiri

उसने कहा के हम भी खरीदार हो गए
तो बिकने को सारे लोग ही तैयार हो गए
उसने कहा के एक वफ़ादार चाहिए
सारे जहाँ के लोग वफ़ादार हो गए
उसने कहा के कोई गुनाहगार है यहाँ
जो पार्साँ थे वो भी गुनाहगार हो गए
उसने कहा के आजिज़-ए-मिस्कीन[troubled] है कोई
सब लोग गर्द-ए-कुच्चा-ओ-बाज़ार हो गए
उसने कहा के काश कोई जंगजू[fighter] मिले
आपसे में ही यार, बर्सर-ए-पैकार[engaged in battle] हो गए
उसने कहा "अदीम" मेरा हाथ थामना
चारों तरफ से हाथ नमूदार हो गए

adeem ki shayyiri

uss ne kaha ke hum bhi kharidar ho gaye
toh bikne ko sare log hi tayyar ho gaye
uss ne kaha ke ek vafadar chahiye
saare jahan ke log vafadar ho gaye
uss ne kaha ke koi gunahgar hai yahan
jo parsaan thay vo bhi gunahgaar ho gaye
uss ne kaha ke aajiz-o-miskin[troubled] hai koi
sab log gard-e-kucha-o-bazar ho gaye
uss ne kaha ke kaash koi jangjuu[fighter]milay
apas mein hi yaar, barsar-e-paikar[ladai]ho gaye
uss ne kaha "Adeem" mera haath thamna
charon taraf se hath namudar ho gaye

gulab ki shayyiri

हमारा प्यार जी उठता, घडी मरने की टल जाती
जो तुम नजरो से छु देते तो यह दुनीया ही बदल जाती
उन्ही को ढूँढती फिरती थी आँखें जाने वाले की
ना करते इंतज़ार ऐसे, कीसी की रात ही ढल जाती
हम उनकी बेरुखी को ही हमेशा प्यार क्यूँ समझे
कभी तो मुसकुरा देते, तबियत ही बदल जाती
उन्ही को चाहते है अपने सीने से लगा लें हम
की जिनकी याद आते ही छुरी है दिल पे चल जाती
वो दिन कुछ और ही थे जब "गुलाब" आँखों में रहते थे
बिना ठहरे ही डोली बहारो की निकल जाती

gulab ki shayyiri

hamara pyar jii uthta, ghadi marne ki tal jaati
jo tum nazaro se choo dete toh yeh duniya badal jaati
unnhi ko dhoondhti phirti thi aankhien jaane wale ki
na karte intezaar aise, kisi ki raat dhal jaati
hum unnki berukhi ko hi hamesha pyar kyun samjhe
kabhi toh muskura dete, tabiyat hi badal jaati
unnhi ko chahte hai apne seene se laga len hum
ki jinki yaad aate hi chorri hai dil pe chal jaati
vo din kuch aur hi thay jab "gulab" ankhon mein rehte thay
bina thahre hi doli baharo ki nikal jaati

"Daag" ki shayyiri

ye jo hukam hai, mere paas na aaye koi
iss liye rooth rahen hain ki manaye koi
ho chuka aish ka jalsa toh mujhe khat bheja
aapki tarah se mehmaan bulaye koi
aap ne "daag" ko muh bhi na lagaya afsoos
ussko uthna tha, kaleje se lagaye koi
ye jo hukam hai, mere paas na aaye koi
iss liye rooth rahen hain ki manaye koi

adeeb ki shayyiri

faansle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
saamne baitha tha mere aur vo mera na tha
vo ki khushbu ki tarah faila tha mere chaar-su
main usse mehsoos kar sakta tha, choo sakta na tha
raat bhar pichli hi aahat, kaan mein aati rahi
jhaank kar dekha gali mein, koi bhi aaya na tha
yaad karke aur bhi takleef hoti thi "adeeb"
bhool jaane ke shiva ab koi chara na tha
naya ek rishta kyu paida kare,hum bichadna hai toh jhagda kyu kare
hum khamoshi se ada ho rasm-e-duri koi hangama barpa kyu kare
hum yeh kafi hai ke hum dushman nahi hai wafadari ka dava kyu kare
humwafa,ikhlaas,qurbani,muhabat ab in lafzo ka peecha kyu kare
hum suna de asmat-e-maryam ka kisaah?ab is baab ko wa kyu kare
hum zulekha se azizan baat yeh hai bhala ghate ka sauda kyu kare
hum hamari hi tamana kyu karo tum tumhari hi tamana kyu kare
hum kya tha ahad jab lamho mein humne toh sari umar aifa kyu kare
hum utha kar kyu na phenke saari cheeze fakat kamro mein thala kyu kare
hum jo ek nasal far-o-maya ko pohnche woh sarmaya ek khatta kyu kare
hum nahi duniya ko jab parwa hamari toh phir duniya ki parwa kyu kare
hum barharana hai sar-e-bazaar toh kya bhala andhoun se parda kyu kare
hum hai bashinde iss hi basti ke hum bhi so khud par bhi bharosa kyu kare
hum chaba kein kyu na khud hi apna dhancha tumhe raatib muhayeeya kyu kare
hum padi rehne do insaano ki lashien zamin ka bhojh halka kyu kare

faraz ki shayyiri

हमारी और उसकी जिंदगी में फकत तरतीब का फरक है फ़राज़
उसकी ज़िन्दगी में हम सब से बाद आते है,और हमारी जिन्दगी में सब उसके बाद
*
hamari aur uss ki zindagi mein faqat tarteeb ka faraq hai faraz
uss ki zindagi mein hum sab ke baad aatey hai aur hamari zindagi mein sab uss ke baad

faraz ki shayyiri

रोएगा इस कदर वो मेरी लाश से लिपट कर फ़रज़....!
अगर इस बात का पता होता तो कब का मर गया होता....!!
*
roega iss kadar woh meri laash se lipat kar faraz!
agar iss baat ka pata hota toh kab ka marr gaya hota!!
तुम रूह में शामिल हो,रगों में रवां हो
मगर मेरे हाथों की लकीरों में कहाँ हो?
*
tum rooh mein shamil ho,ragon mein rawa ho
magar mere hathon ki lakeron mein kahan ho?
moam ki tarha pighalte huye dekha ussko
ruut jo badli to badalte huye dekha ussko
vo jo kanton ko bhi narmi se chuaa karta tha
humne phoolon ko masalte huye dekha uss ko
jaane kis ghum ko chupane ki tamana hai usse
aaj har baat pe hanste huye dekha uss ko
jane wo mangne jaata hai duaon main kise
haath uthate hi sisakte huye dekha ussko
Sar-e-mehfil..!
kahin jo mil jaaye
us se kehna..
ke tera matlaashi
aaj bhe reh-guzar pe betha hai..
aur..wahan se guzarne walon ko
tera huliyaa bataa ke kehta hai..
"TUM NE ISKO KAHIN DEKHA HAI..??
MAINNE USKO YAHIN KHOYAA THA...
kar liya shamil hamen bhi uss ne begano ke saath
ik izaafa aur kar len apne nuksano ke saath
lakh ho pahre magar humko nahin is ki fikar
unnko mil ayenge hum, achchi hai darbano ke saath
uss ke andaz mein na tha humse rindo ka mayaar
sharam mein dooba tha saqi, khali paimano ke saath
jo samjh le char din ke aish ko hi zindgi
kaam kiya tera hai yasir aise nadano ke saath
tufan kar raha tha mere Azm(geratness) ka tawaf(to see),
aur duniya samajh rahi thi ke kishti bhawar mein hai.
woh mujhse yeh nahi kehti
usse mujhse mohabat hai
magar woh aaj kal ek junoon ki zid mein rehti hai
ajab ek bekhudi hai, jo usse bechain rakhti hai
vo mujhse baat karti hai....
bahut hi aam si....mausham ki....logon ki....
mehaz duniya ki rasmo'n si
woh mujhse baat karne ke bahane dhondti hai unn hawalon se
samjhti hai main uss ki aam si baat ko
bus "Yunhi" samjhta hun
vo milti hai mujhe aksar bahano se
ke main guzri yahan se, socha baat hi kar lun
samjhti hai main uss ke inn bahano ko na janunga
kabhi jo phone karti hai
toh uss ki mohabat uss ke lehje se jhalkti hai
mujhe bechain karti hai
vo mera dhayan rakhti hai
meri har baat ko hi bin-kahe woh jaan leti hai
samjhti hai vo ye phir bhi....!!
uss ne khud ko chuppa rakha hai khud hi se
magar aksar....!!
woh khud anjane mein apna yeh parda chaak karti hai
ke jab meri bahut pehle kahi hui
har baar ko woh yaad rakhti hai
aur unnhi lafzoon ko mere samne duhra bhi deti hai
yun lagta hai ke....!!
uss ne meri kahi har baat ko yaad rakha hai
woh mujhse ye nahi kehti
ki uss ki khwahish ussko bahut bechain rakhti hai
ya shayad inn dino vo khud se bhi chupati hai
magar....!!
uss ki nighein aksar usse nakaam karti hai
ke saare jaam ulfat ke vo bhar bhar kar lutati hai
vo darti hai ki kahin kho na de mujhko
ke koi baat uss ki mujhko usse duur na kar de
vo mujhko sochti hai
jagti hai raat bhar vo bhi
magar sayad abhi ussko muhabat mein
khamoshi se hi jalna hai
ke vo jab tak parh nahi leti
ye ankhien jis mein ke uss ka naam likha hai
ke mere laho ki gardishon mein raqs karti chahten uss ki
vo jab tak pa nahi leti
samjh nahin leti, jab tak....!!
ke main bhi gamzan hun
khamoshi se uss ke raaste par
main bhi jagta hun....sochta hun raat bhar uss ko
magar usse nahin kehta....!!!

.


..


...


....

"mujhe usse muhabat hai"
najaane kaun si ruut mein bichad gaye vo log
jo apne dil mein bohut ehtraam rakhte thay
toote hue taroon ko abhi jod raha hun
hathon se mera cheen liya saaz kis ne
ik aah toh kar li hai magar soch raha hun
pehchan na li ho meri aawaz kisi ne
kabhi yaad aaye toh poochna
zara apni khalwat-e-shaam se
kise ishq tha teri zaat se
kise pyar tha tere naam se
zara yaad karo ke woh kaun tha
jo kabhi tujhebhi aziz tha
woh jo ji utha tere naam se
woh jo marr mita tere naam se
hamen berukhi ka nahi gila
ke yahi wafaoon ka hai sils
magar aisa jurm tha kaunsa
gaye hum dua salam se
na kabhi visal ki chaah ki
na kabhi firaq mein aah ki
ke mera tareqa-e-bandgi
hai juda tareqa-e-aam se....
uss ne phir mera haal puchha hai
kitna mushkil sawal pucha hai
hichkiyon ka ajab lehja tha
baat ko taal taal puchha hai
tum mujhe chhod to na jaoge
wastay daal daal pucha hai
aansuon ki zuban me usne
jitna pucha hai kamaal pucha hai
kya kabhi mil sakenge hum dono
mujhse mera khayal pucha hai....!!!!
aise katti hai umar yahan iztraab mein
kachcha ghada ho jaise musalsal azaab mein
phir yeh hua ke dhuup dhali shaam ho gai
rakha tha humne ek hi paaon rakaab mein
mujhse jayda agar tumhe koi chahe toh
mere hathon se apna haath chura lena
mere sajdoon se apna sar utha lena
tood dena pyar ki zanjeeren
mita dena apne hathon se lakeren
meri ankhon se apna khawab
khawabon se meri tasveer mita dena
magar....shart ye hai ki....!
mujhse jayda agar tumhe koi chahe toh....!!!!
apne har ek lafz ka khud aaina ho jaaonga
uss ko chhota keh ke main kaise badaa ho jaaonga
tum giraane mein lage thay tum ne socha hi nahin
main gira toh maslaa ban kar khadaa ho jaaonga
mujhko chalne do, akela hai abhi mera safar
raasta roka gaya toh qaafila ho jaaonga
saari duniya ki nazar mein hai mera ahd-e-vafaa
ek tere kehne se kya main bewaffa ho jaaonga

gulzar ki shayyiri

hamme toh aadat na thi
zami pe paanv rakhnay ki
kabhi sar kabhi ankho par
tumhi nay toh bithaya tha

magar ab na saaye hai
na nigha-hon kay bulave hai
pyar ke vaade nahi
na maukay hai shikayat ke

jhuka ke sar chale jaate hai
hum 'gulzar' mehfil se
dil ke tootne ki na koi
ho awaz yeh vaada hai
mil mil ke bichadna mujhe achcha nahi lagta
par tumko bhi paane ka raasta nazar nahi aata
tere khaloos-e-mohabat pe aitbaar hai itna
siwa tere koi rista achcha nahi lagta

mohsin ki shayyiri

misaal-e- abr zameen ka libaas ho jaon
jo youn nahi to samandar ki pyas ho jaon
tamam din ki karhi dhoop main yeh sochta hon
main shab ke pichlay pehar ka hiraas ho jaon
ab apne wastay tujhay mangnay se khauf aye
tuu hath utha kay teri iltmaas ho jaoon
bujhi bujhi huee ankhon kee tergi ki kasam
tujhay parhon to sitara sanaash ho jaon
khushi milee to kayee dard mujh se rooth gaye
dua karo kay main phir se uddas ho jaon
meri kitab kay unwaan zara qareeb ayo
main apne aap tera iqtbaas ho jaon
ab apne aap sanwarnay ka shok kia "mohsin"
kisee ujartay huye dil ki aas ho jaoon
kabhi ye sochte hain ke ham simat jaate....
aur kabhi ye chahte hain ke kaash tum hi bikhar jaate......
woh mujh tak aane ki raah chahta hai
Lekin meri chahton ka gawah chahta hai
Khud toh aate jaate musamon ki tarah hai
aur meri chahat ki inteha chahta hai
Suno !
tum azm wale ho
bala ka zabt rakhte ho
tumhein kuch bhi nahi hoga !!
magar dekho
jise tum chod jaate ho
usse toh theek se shayad
bichadna bhi nahi aata !!!
suno!
tum azam wale ho
usse mat chod ke jaao !!!!

wel come