Sunday, May 31, 2009

shakeel badayuni ki shayyiri

kaise keh doon ki mulakaat nahin hoti
roz milte hain magar baat nahin hoti
aap lilaah na dekha karen aaiina kabhi
dil ka aa jana koi badi baat nahin hoti
chhup ke rota hun teri yaad mein duniya bhar se
kab meri aankh se barsaat nahin hoti
haal-e-dil puchne wale teri duniya mein kabhi
din toh hota hai magar raat nahin hoti
jab bhi milte hain toh kehte hai,'kaise ho "shakeel"'
iss se aagay toh koi baat nahin hoti

unknown

मैंने रखा है मुहब्बत अफ़साने का नाम
तुम भी कुछ अच्छा सा रख दो अपने दीवाने का नाम

किस कदर खुबसूरत है तेरे दीदार की दुनिया
मेरी नज़रों की ज़न्नत है जुल्फ-ओ-रुखसार की दुनिया
तुम्हें पहचाना है, खुदा को समझा है, खुदा को जाना है

दिल पे तुम हाथ जो रख दो मेरी तस्कीन हो जाए
जानेमन जिंदगी मेरी कुछ तोह रंगीन हो जाए
नज़र मिल जाने दो, क़यामत आती है, क़यामत आने दो

इश्क पे क्या गुज़रती है हुस्न ये राज़ क्या जाने
मेरे दिल के तड़पने का कोई अंदाज़ क्या जाने
है दिल परवाने का, कोई हमसे पूछे, मज़ा जल जाने का

मैंने रखा है मुहब्बत अफ़साने का नाम
तुम भी कुछ अच्छा सा रख दो अपने दीवाने का नाम

unknown

maine rakha hai muhbbat afsaane ka naam
tum bhi kuch achcha sa rakh do apne diwaane ka naam

kis qadar khubsurat hai tere didaar ki duniya
meri nazron ki zannat hai zulf-o-rukhsaar ki duniya
tumhen pehchana hai, khuda ko samjha hai, khuda ko jaana hai

dil pe tum haath jo rakh do meri taskeen ho jaaye
jaaneman zindgi meri kuch toh rangiin ho jaaye
nazar mil jaane do, qayamat aati hai, qayamat aane do

ishq pe kya guzarti hai husn ye raaz kya jaane
mere dil ke tadapne ka koi andaaz kya jaane
hai dil parvaane ka, koi humse puche, maza jal jaane ka

maine rakha hai muhbbat afsaane ka naam
tum bhi kuch achcha sa rakh do apne diwaane ka naam

unknown

आईना-ए-खुलूस-ओ-वफ़ा चूर हो गए
जितने चिराग-ए-नूर थे, बेनूर हो गए
मालूम ये हुआ के वो रस्ते के साथ था
मंजिल करीब आई तो हम दूर आ गए
मंज़ूर कब थी हमको वतन से ये दूरियाँ
हालत की जफ़ाओं से मजबूर हो गए
कुछ आ गई हम अहल-ए-वफ़ा में भी तम्कनत
कुछ वो भी अपने हुस्न पे मगरूर हो गए
चरागों की ऐसी इनायत हुई 'इश्क'
के जो ज़ख्म भर चले थे वो नासूर हो गए

unknown

aaiina-e-khuloos-o-waffa chuur ho gaye
jitne chiraag-e-noor thay, benoor ho gaye
maluum ye hua ke vo raste ke saath tha
manzil kareeb aayi toh hum duur aa gaye
manzoor kab thi humko watan se ye duuriyaan
haalat ki jafaaon se majbuur ho gaye
kuch aa gayi hum ahl-e-wafa mein bhi tamkanat
kuch vo bhi apne husn pe maghruur ho gaye
charagon ki aisi inaayat hui 'ishq'
ke jo zakhm bhar chale thay vo nasuur ho gaye

josh ki shayyiri

सोज़-एगम दे के मुझे उस्सने ये इरशाद किया
जा तुझे कशमकश-ऐ-दहर से आजाद किया
वो करें भी तोह किन अल्फाज़ में तेरा शिकवा
जिनको तेरी निगाह-ऐ-लुत्फ़ ने बरबाद किया
दिल की चोटों ने कभी चैन से रहने न दिया
जब चली सर्द हवा में तुझे याद किया
ऐसे में मैं तेरे ताज-तकल्लुफ पे निसार
फिर तो फरमाए वफ़ा आप ने इरशाद किया
इसका रोना नहीं क्यूँ तुमने किया दिल बरबाद
इसका गम है की बोहत देर में बरबाद किया
इतना मासूम हूँ फितरत से, कली जब चटकी
झुक के मैंने कहा, मुझसे कुछ इरशाद किया
मेरी हर साँस है इस बात की शाहिद-एमौत
मैंने हर लुत्फ़ के मौके पे तुझे याद किया
मुझको तो होश नहीं तुमको ख़बर हो शायद
लोग कह्ते हैं की तुमने मुझे बरबाद किया
वो तुझे याद करे जिसने भुलाया हो कभी
हमने तुझको न भुलाया न कभी याद किया
कुछ नहीं इसके सिवा 'जोश' हरिफ्फों का कलाम
वस्ल ने शाद किया हिज्र ने न_शाद किया

josh ki shayyiri

soz-egam de ke mujhe ussne ye irshaad kiya
ja tujhe kashmkash-e-dahar se aazad kiya
vo karen bhi toh kin alfaaz mein tera shikwa
jinko teri nigaah-e-lutf ne barbaad kiya
dil ki choton ne kabhi chain se rehne na diya
jab chali sard hawa mein tujhe yaad kiya
aise mein main tere taj-takalluf pe nisar
phir toh farmaaye vaffa aap ne irshad kiya
isska rona nahin kyun tumane kiya dil barbaad
isska gam hai ki bohat der mein barbaad kiya
itna masuum hun fitrat se, kali jab chatki
jhuk ke maine kaha, mujhse kuch irshaad kiya
meri har saans hai iss baat ki shaahid-emaut
maine har lutf ke mauqe pe tujhe yaad kiya
mujhko toh hosh nahin tumko khabar ho shayad
log kehte hain ki tumne mujhe barbaad kiya
vo tujhe yaad kare jisne bhulaya ho kabhi
humne tujhko na bhulaya na kabhi yaad kiya
kuch nahin isske siva 'josh' hariffon ka kalaam
wasl ne shad kiya hizr ne na_shaad kiya

unknown

इबादत करते हैं जो लोग ज़न्नत की तमन्ना में
इबादत तो नहीं है इक तरह की वो तिजारत है
जो डर के नज़र-ए-दोज़ख से खुदा का नाम लेते हैं
इबादत क्या वो खाली बुज़दिलाना एक खिदमत है
मगर जब शुक्र-ए-नेमत में जबीं झुकाती है बन्दे की
वो सच्ची बंदगी है इक शरीफाना इत'अत है
कुचल दे हसरतों के बेनियाज़-ऐ-मुद्द'अ हो जा
खुदी को झाड़ दे दामन से मर्द-ए-बा_खुदा हो जा
उठा लेती हैं लहेरें तह_नशीं होता है जब कोई
उभरना है तोह गर्क-ऐ-बहर-ऐ-फ़ना हो जाता है

unknown

ibaadat karte hain jo log zannat ki tamanna mein
ibaadat toh nahin hai ik tarah ki vo tizaarat hai
jo darr ke nazar-e-dozakh se khuda ka naam lete hain
ibaadat kya vo khali buzadilana ek khidmat hai
magar jab shukr-e-nemat mein jabeen jhukati hai bande ki
vo sachchi bandgi hai ik sharifana ita'at hai
kuchal de hasraton ke beniyaaz-e-mudd'a ho ja
khudi ko jhaad de daaman se mard-e-ba_khuda ho ja
utha leti hain laheren taha_nashin hota hai jab koi
ubharana hai toh garq-e-bahr-e-fana ho jaata hai

Saturday, May 30, 2009

unknown

ज़ाहिर की आँख से न तमाशा करे कोई
हो देखना तो दीदा-ऐ-दिल वा करे कोई
अरे बैठे क्या समझ के भला तूर पर कलीम
ताक़त हो दीद की तो तकाज़ा करे कोई
इलाही तेरी चौखट पर भिखारी बन के आया हूँ
सरापा फक्र हूँ, इज्ज़-ओ-नदामत साथ लाया हूँ
भिखारी वो के जिस के पास झोली है न पियाला है
भिखारी वो जिसे हिरस-ओ-हवास ने मार डाला है
माता-ऐ-दीं-ओ-दानिश नफस के हाथों से लुटवा कर
सुकून-ए-क़ल्ब की दौलत हवास की भेंट चढवा कर
लुटा कर सारी पूँजी गफलत-ओ-इसयाँ की दलदल में
सहारा लेने आया हूँ तेरे काबे के आँचल में

unknown

zahir ki aankh se na tamasha kare koi
ho dekhna toh deeda-e-dil waa kare koi
arre baithe kya samjh ke bhala tuur par kaleem
taaqat ho deed ki toh taqaza kare koi
ilaahi teri chaukhat par bhekaari ban ke aaya hun
saraapa faqr hun, ijz-o-nadaamat saath laya hun
bhikari vo ke jis ke paas jholi hai na piyaala hai
bhikaari vo jise hirs-o-hawas ne maar dala hai
mata-e-deen-o-daanish nafs ke haathon se lutwa kar
sukoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhaint chharwa kar
luta kar saari poonji ghaflat-o-isyaan ki daldal mein
sahara lene aaya hun tere kaabe ke aanchal mein

mussahfi ki shayyiri

आता है किस अंदाज़ से टूक नाज़ तो देखो
किस धज से क़दम पड़ता है अंदाज़ तो देखो
करता हूँ मैं दूज_दीदा नज़र गर कभी उस पर
नज़रों में परख ले है नज़र_बाज़ तो देखो
मैं कन्गुरा-ऐ-अर्श से पर मार के गुज़ारा
अल्लाह रे रसाई मियाँ 'मुस्सह्फी' सारा
अंजाम को क्या कह्ते हो आगाज़ तो देखो

mussahfi ki shayyiri

aata hai kis andaaz se tuk naaz toh dekho
kis dhaj se qadam padta hai andaaz toh dekho
karta hun main duz_diida nazar gar kabhi uss par
nazron mein parkh le hai nazar_baaz toh dekho
main kanguraa-e-arsh se par marr ke guzara
allah re resaayi miyaan 'mussahfi' saara
anjaam ko kya kehte ho aghaaz toh dekho

rishi ki shayyiri

यूँही अपनों के दिल में शक कोई पैदा नहीं करते
जो लब तक आ गई उस बात को रोका नहीं करते
किसी से आदतन यूँही कोई वादा नहीं करते
अगर कर ही लिया तो फिर उसे तोडा नहीं करते
वो देगा तो मगर गाता फिरेगा सारी दुनिया में
किसी कमज़र्फ़ इंसान से मदद माँगा नहीं करते
वो हर जुमले पे सांसे दाद की उम्मीद करते हैं
मगर सुनकर मेरे अशआर कुछ बोला नहीं करते
ये माना जिंदगी फैलाव का ही नाम है लेकिन
सिमटना भी हो मुश्किल इतना भी फैला नहीं करते
ये साया देंगे, गुल देंगे या देंगे बड़े होकर
यूँ पौधों को सदा लालच में ही पाला नहीं करते
बयाँ-ऐ-दर्द में मेरे मज़ा पाते हैं चारागर
यूँ मुझ बीमार को वो जानकर अच्छा नहीं करते
सभी की फितरतें अपनी सभी की मुश्किलें अपनी
सभी को एक पैमाने से ही आँका नहीं करते
बड़े लोगों की महफिल में मुझे ले तो चले हो पर
बताते मुझको तुम रहना वहां क्या क्या नहीं करते
कहीं कहना ज़रूरी है कहीं परदा मुनासिब है
सभी के सामने दिल को 'ऋषि' खोला नहीं करते

rishi ki shayyiri

yunhi apnon ke dil mein shaq koi paida nahin karte
jo lab tak aa gayi uss baat ko roka nahin karte
kisi se aadatan yunhi koi vaada nahin karte
agar kar hi liya toh phir usse toda nahin karte
vo dega toh magar gaata phirega saari duniya mein
kisi kamzarf insaan se madad maanga nahin karte
vo har zumle pe sanse daad ki ummid karte hain
magar sunkar mere ashaar kuch bola nahin karte
ye mana zindgi phailav ka hi naam hai lekin
simtna bhi ho mushkil itna bhi phaila nahin karte
ye saaya denge, gul denge ya denge bade hokar
yun paudon ko sada lalch mein hi paala nahin karte
bayan-e-dard mein mere maza paate hain charaagar
yun mujh bimar ko vo jankar achcha nahin karte
sabhi ki fitraten apni sabhi ki mushkilen apni
sabhi ko ek paimane se hi aanka nahin karte
bade logon ki mehfil mein mujhe le toh chale ho par
batate mujhko tum rehna vahan kya kya nahin karte
kahin kehna zaroori hai kahin parda munaasib hai
sabhi ke saamne dil ko 'rishi' khola nahin karte

ismail ajaz khayaal ki shayyiri

अपने दिल में भी बसो ये ज़रूरी तोः नहीं
मुझको तुम अपना बनाओ ये ज़रूरी तोः नहीं
मेरी राहत और खुशी का तुमसे गर है वास्ता
मेरे जीवन में भी आओ ये ज़रूरी तोः नहीं
मैं तुम्हें जो चाहता हूँ, तुम ज़रूरत हो मेरी
तुम भी अब उल्फत जताओ, ये ज़रूरी तोः नहीं
तुम तस्वूर में मेरे मुस्कान बनकर आते हो
मेरे संग संग मुस्कुराओ ये ज़रूरी तोः नहीं
जिंदगी में धुप छाओं ग़म खुशी के रूप हैं
प्यार का मौसम ही पाओ ये ज़रूरी तोः नहीं
बदली रूत से आज मौसम में है तब्दीली 'ख्याल'
तुम किसी से दिल लगाओ ये ज़रूरी तोः नहीं

ismail ajaz khayaal ki shayyiri

apne dil mein bhi basao ye zaroori toh nahin
mujhko tum apna banao ye zaroori toh nahin
meri rahat aur khushi ka tumse gar hai vasta
mere jivan mein bhi aao ye zaroori toh nahin
main tumhen jo chahta hun, tum zaroorat ho meri
tum bhi ab ulfat jatao, ye zaroori toh nahin
tum tasvuur mein mere muskaan bankar aate ho
mere sang sang muskurao ye zaroori toh nahin
zindgi mein dhoop chhaon gham khushi ke roop hain
pyar ka mausam hi paao ye zaroori toh nahin
badli ruut se aaj mausam mein hai tabdeeli 'khayal'
tum kisi se dil lagao ye zaroori toh nahin

hafiz ki shayyiri

आशिक सा बदनसीब कोई दूसरा ना हो
माशूक खुद भी चाहे तो उसका भला ना हो
इबारत का दरस है मुझे हर सूरते-फ़कीर
होता है यें ख्याल कोई बादशाह ना हो
काबे को जा रहा हूँ निगाह सुए-दैर[बूत्खाने की तरफ] है
फिर-फिर के देखता हूँ, कोई देखता ना हो
है मुद्दा[demand]-ए-इश्क ही दुनिया के मुद्दे
यें
मुद्दा ना हो तो कोई मुद्दा ना हो
हां ऐ 'हाफिज़' छेड़ जा नगमा हाए-वक़त[poem of time]
जब तक तेरा रुबबे-सुखन बे सदा ना हो

hafiz ki shayyiri

aashiq sa badnaseeb koi dosra na ho
mashooq khud bhi chahe toh usska bhala na ho
ibaart ka dars hai mujhe har surate-fakeer
hota hai ye khayal koi badshah na ho
kaabe ko ja raha hun nigah suye-dair[buutkhane ki taraf] hai
phir-phir ke dekhta hun, koi dekhta na ho
hai mud_da[demand]-e-ishq hi duniya ke mud-daye
ye mud_da na ho toh koi mud_da na ho
haan ae 'hafiz' chhed ja nagma haaye-waqt[poem of time]
jab tak tera rubabe-sukhan be sada na ho

hasrat ki shayyiri

शोले ही सही आग लगाने के लिए आ
फिर तूर[मौंतें] के मंज़र[view] को दिखाने के लिए आ
ये किस ने कहा है मेरी तकदीर बना दे
आ अपने ही हाथों से मिटाने के लिए आ
ऐ दोस्त मुझे गर्दिश-ऐ-हालत ने घेरा
तू जुल्फ की कमली में छुपाने के लिए आ
दीवार है दुनिया इससे राहों से हटा दे
हर रस्म मुहबत की मिटने के लिए आ
मतलब तेरी आमद से है दरमान[cure] से नहीं
"हसरत" की कसम दिल ही दुखाने के लिए आ

hasrat ki shayyiri

shole hi sahi aag lagane ke liye aa
phir tuur[mountain] ke manzar[view] ko dhikane ke liye aa
ye kis ne kaha hai meri takdeer bana de
aa apne hi haathon se mitaane ke liye aa
ae dost mujhe gardish-e-haalat ne ghera
tu zulf ki kamali mein chhupane ke liye aa
deewar hai duniya isse raahon se hata de
har rasm muhabat ki mitane ke liye aa
matlab teri aamad se hai daramaan[cure] se nahin
"hasrat" ki kasam dil hi dukhane ke liye aa

unknown

ये आँखें देख कर हम सारी दुनिया भूल जाते हैं
इन्हें पाने की धून में हर तमन्ना भूल जाते हैं
तुम अपनी महकी महकी जुल्फ के पेंचों को कम कर दो
मुसाफिर इन् में गिरकर अपना रास्ता भूल जाते हैं
ये आँखें जब हमें अपनी पनाहों में बुलाती हैं
हमें अपनी कसम हम हर सहारा भूल जाते हैं
तुम्हारे नर्म-ओ-नाज़ुक होंठ जिस दम मुस्कुराते हैं
बहारें झेंपती फूल खिलाना भूल जाते हैं
बहुत कुछ तुमसे कहने की तमना दिल में रखते हैं
मगर जब सामने आते हो तो कहना भूल जाते हैं
मुहबत में ज़ुबाँ चुप हो तो आँखें बात करती हैं
ये कह देती हैं वो बातें जो कहना भूल जाते हैं

unknown

ye aankhen dekh kar hum saari duniya bhuul jaate hain
innhen paane ki dhuun mein har tamanna bhuul jaate hain
tum apni mehaki mehaki zulf ke penchon ko kam kar do
musaafir inn mein girkar apna rasta bhuul jaate hain
ye aankhein jab hamen apni panaahon mein bulati hain
hamen apni kasam hum har sahara bhuul jaate hain
tumhare narm-o-nazuk hont jis dam muskurate hain
bahaaren jhenpati phuul khilana bhuul jaate hain
bahut kuch tumse kahne ki tamana dil mein rakhte hain
magar jab saamne aate ho toh kehna bhuul jaate hain
muhabat mein zubaan chup ho toh aankhein baat karti hain
ye keh deti hain vo baatein jo kehna bhuul jaate hain

unknown

इश्क की दास्ताँ है प्यारे
अपनी अपनी जुबां हैं प्यारे
हम ज़माने से इंतकाम तो लें
एक हसीं दरमियान है प्यारे
तू नहीं मैं हूँ, मैं नहीं तू है
अब कुछ ऐसा गुमान है प्यारे
रख कदम फूँक फूँक कर नादान
ज़र्रे ज़र्रे में जान है प्यारे

unknown

ishq ki daastan hai pyaare
apni apni zuban hain pyaare
hum zamane se intqaam toh lein
ek haseen darmiyaan hai pyaare
tu nahin main hun, main nahin tu hai
ab kuch aisa gumaan hai pyaare
rakh kadam phoonk phoonk kar naadan
zarre zarre mein jaan hai pyaare

jaun elia ki shayyiri

जब तेरी जान हो गई होगी
जान हैरान हो गई होगी
शब् था मेरा निगाह का बोझ उस पर
वो तो हलकान हो गई होगी
उसकी खातिर हुआ मैं खार बहुत
वो मेरी आन हो गई होगी
हो के दुश्वार जिंदगी अपनी
कितनी आसान हो गई होगी
बे_गिला हूँ मैं अब बहुत दिनों से
वो परेशां हो गई होगी
एक हवेली थी दिल मुहाले में
अब वो वीराँ हो गई होगी
उससके कुचे में आई थी शरीन
उसकी दरबान हो गई होगी
कमसिनी में बहुत शरीर थी वो
अब तो शैतान हो गई होगी

jaun elia ki shayyiri

jab teri jaan ho gayi hogi
jaan hairaan ho gayi hogi
shab tha mera nigaah ka bhojh uss par
vo toh halkaan ho gayi hogi
usski khatir hua main khaar bahut
vo meri aan ho gayi hogi
ho ke dushvaar zindgi apni
kitni aasaan ho gayi hogi
be_gila hun main ab bahut dino se
vo pareshan ho gayi hogi
ek haveli thi dil muhale mein
ab vo viraan ho gai hogi
usske kuche mein aayi thi shreen
usski darbaan ho gayi hogi
kamsini mein bahut shareer thi vo
ab toh shaitaan ho gayi hogi

unknown

जिंदगी में तो सभी प्यार किया करते है
मैं तो मर कर भी मेरी जान तुझे चाहूँगा
तू मिला है तोह ये एहसास हुआ है मुझको
ये मेरी उमर मुहबत के लिए थोडी है
एक ज़रा सा ग़म-ऐ-दौरान[mundane sufferings] का भी हक है जिस पर
मैंने वो साँस भी तेरे लिए रख छोड़ी है
तुझपे हो जाऊंगा कुर्बान तुझे चाहूँगा
अपने जज़्बात में नगमात रचाने के लिए
मैंने धड़कन की तरह दिल में बसाया है तुझे
मैं तसवुर भी जुदाई का भला कैसे करूं
मैंने किस्मत की लकीरों से चुराया है तुझे
प्यार का बन के निगेहबान तुझे चाहूँगा
तेरी हर चाप से जलते हैं ख्यालों में चिराग
जब भी तू आए जगाता हुआ जादू आए
तुझको छू लूँ तो फिर ऐ ! जान-ऐ-तमना मुझको
देर तक अपने बदन से तेरी खुसबू आए
तू बहारों का है उनवान तुझे चाहूँगा

unknown

zindgi mein toh sabhi pyar kiya karte hai
main toh marr kar bhi meri jaan tujhe chahunga
tu mila hai toh ye ehsaas hua hai mujhko
ye meri umar muhabat ke liye thodi hai
ek zara sa gham-e-dauraan[mundane sufferings] ka bhi haq hai jis par
maine vo saans bhi tere liye rakh chodi hai
tujhpe ho jaunga qurbaan tujhe chahunga
apne jazbaat mein naghmaat rachaane ke liye
maine dhadkan ki tarah dil mein basaya hai tujhe
main tasavur bhi judai ka bhala kaise karuun
maine qismat ki lakeeron se churaya hai tujhe
pyar ka ban ke nigehbaan tujhe chahunga
teri har chaap se jalte hain khayalon mein chiraag
jab bhi tu aaye jagaata hua jaadu aaye
tujhko chuu loon toh phir ar ! jaan-e-tamana mujhko
der tak apne badan se teri khusbhu aaye
tu baharon ka hai unvaan tujhe chahunga

sarwar a raz sarwar ki shayyiri

आशना थे ख़ुद से, फिर न-आशना होते गए
हो भला इस इश्क का, हम क्या से क्या होते गए !
अश्क-ए-ग़म बहते रहे और नक्श-ए-पा होते गए
जिंदगी के क़र्ज़ सारे यूँ अदा होते गए
न-रसाई का फ़साना क्या कहें, किस से कहें ?
मंजिलें आयीं तो हूँ बे-दस्त-ओ-पा होते गए
इत्तिफाकान अपनी हालत पर नज़र जब जब पड़ी
हम निगाहों में ख़ुद अपनी बे-रिदा होते गए
रेगज़ार-ए-आरजू में वक्त वो हम पर पड़ा
राहज़न चेहरे बदल कर रहनुमा होते गए
अहल-ए-दुनिया की ज़रा देखो करम-फ़रमईयां
आड़ में ईमान की बन्दे भी खुदा होते गए
इश्क की बेताबियों की लाज्ज़तें मत पूछिये
नाला-हाय आरजू हर्फ़-ए-दुआ होते गए
ये कहो 'सरवर' ! तुम्हारी इनकिसारी क्या हुई ?
तुम भी दुनिया की तरह क्यूँ ख़ुद-नुमाई होते गए ?

sarwar a raz sarwar ki shayyiri

aashna thay khud se, phir na-aashna hote gaye
ho bhala iss ishq ka, hum kya se kya hote gaye !
ashq-e-gham behte rahe aur naqsh-e-paa hote gaye
zindgi ke qarz saare yun ada hote gaye
na-rasaayi ka fasana kya kahen, kis se kahen ?
manzilen aayin toh hun be-dast-o-pa hote gaye
ittifaaqan apni haalat par nazar jab jab padi
hum nigahon mein khud apni be-rida hote gaye
regzaar-e-aarzu mein waqt vo hum par pada
raahzan chehre badal kar rehnuma hote gaye
ahl-e-duniya ki zara dekho karam-farmaiyan
aad mein imaan ki bande bhi khuda hote gaye
ishq ki be-taabiyon ki lazzaten mat puchhiye
naalah-haaye aarzu harf-e-dua hote gaye
ye kaho 'sarwar' ! tumhari inkisaari kya hui ?
tum bhi duniya ki tarah kyun khud-numai hote gaye ?

unknown

हम किसी दीन से हो कायिल-ए-किरदार तो हैं
हम सना खान-ऐ-शाह-ऐ-हैदर-ऐ-कर्रार
तो हैं
नाम लेवा हैं मुहम्मद के परस्तार तो हैं
यानि मजबूर पाए अहमद-ए-मुख्तार
तो हैं
इश्क हो जाए किसी से , कोई चारा तो नहीं
सिर्फ़ मुस्लिम का मुहम्मद से इजारा तो नहीं
मेरी नज़रों में तो इस्लाम , मुहब्बत का है नाम
अमन का , आशकी की , मैहर-ओ-मुरव्वत का है नाम
कुसत-ऐ-क़ल्ब का , इखलास-ओ-उकुब्बत का है नाम
तख्ता-ऐ-डार पे भी हक-ओ-सदाक़त का है नाम
मेरा इस्लाम नेक-ओ-नाम है बदनाम नहीं
बात इतनी है के बस आम ये इस्लाम नहीं

unknown

hum kisi deen se ho qayail-e-kirdaar toh hain
hum sana khan-e-shah-e-haidar-e-qarraar toh hain
naam levaa hain muhammad ke parastaar to hain
yani majboor paye ahmed-e-mukhtaar toh hain
ishq ho jaaye kisi se , koi chara to nahin
sirf muslim ka muhammad se ejaara to nahin
meri nazron mein to islaam , muhabbat ka hai naam
aman ka , aashiqui ki , mehr-o-muravvat ka hai naam
qusat-e-qalb ka , ikhlaas-o-ukubbat ka hai naam
takhta-e-daar pe bhi haq-o-sadaqat ka hai naam
mera islaam nek-o-naam hai badnaam nahin
baat itni hai ke bas aam ye islaam nahin

qateel shifai ki shayyiri

मिलकर जुदा हुए तो न सोया करेंगे हम
एक दूसरे के याद में रोया करेंगे हम
आंसू छलक छलक के सतायेंगे रात भर
मोती पलक पलक में पिरोया करेंगे हम
जब दूरियों की याद दिलों को जलायेगी
जिस्मों को चांदनी में भिगोया करेंगे हम
गर दे गया दगा हमें तूफ़ान भी 'क़तील'
साहिल पे कश्तियों को डूबोया करेंगे हम

qateel shifai ki shayyiri

milkar juda huye toh na soya karenge hum
ek doosre ke yaad mein roya karenge hum
aansoo chalak chalak ke satayenge raat bhar
moti palak palak mein piroya karenge hum
jab dooriyon ki yaad dilon ko jalaayegi
jismon ko chandni mein bhigoya karenge hum
gar de gaya daga hamen toofan bhi 'qateel'
sahil pe kashtiyon ko dooboya karenge hum

unknown

दिल को ग़म-ऐ-हयात गंवारा है इन दिनों
पहले जो दर्द था वही चारा है इन दिनों
ये दिल ज़रा सा दिल तेरी यादों में खो गया
ज़र्रे को आँधियों का सहारा है इन दिनों
तुम आ सको तो शब् को बढ़ा दूँ कुछ और भी
अपने कहे में सुबहो का तारा है इन दिनों

unknown

dil ko gham-e-hayaat ganwara hai in dinon
pehle jo dard tha wahi chaara hai in dinon
ye dil zara sa dil teri yaadon mein kho gaya
zarre ko aandhiyon ka sahara hai in dinon
tum aa sako to shab ko badha doon kuch aur bhi
apne kahe mein subho ka taara hai in dinon

unknown

दिल्लगी थी उसे हमसे मोहब्बत कब थी
महफिल-ए-गैर से उन्को फुर्सत कब थी
हम थे मोहब्बत में लूट जाने के कायल
उसको वादों में वो शिदत कब थी
वोह वक्त गुज़री के लिए करता था प्यार की बातें
वरना मेरे लिए उसके दिल में चाहत कब थी
बोहत रोका मगर निकल आते हैं कमबख्त आंसू
बज्म-ऐ-याद में आंसू बहने की इजाज़त कब थी
खुदा जाने किस की याद में हुआ है वो बेहाल
वरना मेरे इश्क में उसकी ऐसी हालत कब थी

unknown

dillagi thi usse humse mohbbat kab thi
mehfil-e-ghaiir se unnko fursat kab thi
hum thay mohbbat mein luut jaane ke qayal
ussko vaadon mein woh shiddat kab thi
woh waqt guzari ke liye karta tha pyar ki baten
varna mere liye usske dil mein chahat kab thi
bohat roka magar nikal aate hain kambakht aansoo
bazm-e-yaad mein ansoo bahane ki ijazat kab thi
khuda jaane kis ki yaad mein hua hai woh behaal
varna mere ishq mein usski aisi halat kab thi

unknown

गम-ए-हिज्र-ए-यार कब तक, रहूँ बेकरार कब तक
मेरे दिल बता ये मुझको, करुँ उसको प्यार कब तक
ये हुजूम-ए-नामुरादी गम-ए-बेशुमार कब तक
तेरी बात का भरोसा तेरा इंतज़ार कब तक
शब्-ए-हिज्र की उदासी कहीं मुझको ले न डूबे
मेरी धडकनों पे होगा तेरा इख्तिय्यर कब तक
न ही आज का भरोसा न ही कल की हैं उमीदें
तेरी राह गुज़र तकूँ मैं शब्-ए-वस्ल-यार कब तक
मैं निकल पड़ी थी तन्हा लिए सारे रंज दिल पर
मगर फिर ख्याल आया के सहूँ यह बार कब तक
मेरी आंखें तक रही हैं तेरी वापसी की राहें
तू ही अब बता दे मुझको करुँ इंतज़ार कब तक
मुझे यूँ तो दे गया है वो दिलासा जाते जाते
मगर अब यह सोचती हूँ करुँ ऐतबार कब तक

wel come